aaj kuchh kahne ko thi shoKHi-e-tadbir meri

By jami-rudaulviNovember 2, 2020
aaj kuchh kahne ko thi shokhi-e-tadbir meri
hans padi pas khadi thi kahin taqdir meri
tutte hi se hui dil mein kashakash paida
meri takhrib mein poshida thi tamir meri


hurriyat zulmat-e-zindan mein janam leti hai
inqilabaat ki tarikh hai zanjir meri
apni jaanib kabhi dekha hi nahin tha warna
wusaten donon jahanon ki hain jagir meri


dosti kaisi rah-o-rasm-e-umumi bhi gai
pyar ki baat kahi aap se taqsir meri
main kahan aap kahan did ki ummid kahan
yaad aaun jo kabhi dekhiye taswir meri


ibrat-amoz hai duniya ka taghayyur 'jami'
mujh se milti nahin do roz ki taswir meri
36605 viewsghazalEnglish