aaj sunte hain ki mere ghar wo yar aane ko hai
By jameela-khuda-bakhshNovember 2, 2020
aaj sunte hain ki mere ghar wo yar aane ko hai
apne qabu mein dil-e-be-ikhtiyar aane ko hai
bulbulen hain naghma-zan phula hua hai baghban
bagh mein khilti hain kaliyan kya bahaar aane ko hai
dekhta hun chashm-e-nargis aaj sharmai hui
kya tumhaari did ka ummid-war aane ko hai
misl-e-taswir-e-khayali murgh-e-bustan hain khamosh
baghban gulshan mein koi dil-figar aane ko hai
ai 'jamila' fasl-e-gul aai chala sahra ko main
mehman ban kar mere talwon mein khar aane ko hai

21650 viewsghazal • English