aaj to ghar mein koi nahin hai aaj to khul ke ro lenge

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
aaj to ghar mein koi nahin hai aaj to khul ke ro lenge
ro ro kar thak jaenge to pal do pal ko so lenge
kab tak hum mashhur rahenge nek-atwar-o-nek-khisal
kab tak ye diwar-o-dar bhi aakhir bhed na kholenge


har diwar gira denge gar apni jaan mein jaan rahi
hath aur pair salamat hain to sare patthar dho lenge
kheton se baadal tak ek barsat ka fasla hail hai
ya'ni jab tak fasl kategi hum to budhe ho lenge


rukhi-sukhi kha lete hain is ummid ke sath 'jamal'
barish ho jae to hum bhi apni roti bhigo lenge
73662 viewsghazalEnglish