aaj unhen kuchh is tarah ji khol kar dekha kiye ek hi lamhe mein jaise umr-bhar dekha kiye dil agar betab hai dil ka muqaddar hai yahi jis qadar thi hum ko taufiq-e-nazar dekha kiye khud-faroshana ada thi meri surat dekhna apne hi jalwe ba-andaz-e-digar dekha kiye na-shanas-e-gham faqat dad-e-hunar dete rahe hum mata-e-gham ko ruswa-e-hunar dekha kiye dekhne ka ab ye aalam hai koi ho ya na ho hum jidhar dekha kiye pahron udhar dekha kiye husn ko dekha hai main ne husn ki khatir 'hafiz' warna sab apna hi meyar-e-nazar dekha kiye