aaj uske dil mein dekha dusra apni jagah
By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
aaj us ke dil mein dekha dusra apni jagah
phir jo apne dil mein dekha kuchh na tha apni jagah
kyon na kashti se utar kar sajda sahil par karun
nakhuda apni jagah hai aur khuda apni jagah
hijr dukh-dai hai to kya 'ishq karna chhod den
fasla apni jagah hai rasta apni jagah
gir nahin sakte sitare teri jholi mein kabhi
aasmani she'r padh kar baith ja apni jagah
sha'iron ko qais se islah leni chahiye
falsafa apni jagah hai tajraba apni jagah
hum jo kahna chahte the kah nahin pae kabhi
sochna apni jagah hai bolna apni jagah
aaj bhi mahfil mein us ki jashn pura ho gaya
rah gaya is bar bhi main dhundta apni jagah

43701 viewsghazal • English