aaj yun dard tera dil ke ufuq par chamka jaise do pul ke liye subh ka akhtar chamka yun ziya-bar rahi hijr ki shab yaad teri gham ka shoala tere rukhsar se badh kar chamka khak-e-gulshan se na koi bhi sharara phuta fasl-e-gul aai na koi bhi gul-e-tar chamka ab nahin ahl-e-nazar ahl-e-basirat koi lal samjhe hain use jab koi patthar chamka ek kiran chhod gaya dida-o-dil mein 'hafiz' wo hasin ashk ki jo nok-e-mizha par chamka