aakhirash kar liya qubul hamein us ne bheje hain lal phul hamein ek ladki ka khwab hain hum bhi koi samjhe nahin fuzul hamein is qadar yaad kar rahe ho tum yani jaoge tum bhi bhul hamein hum hain khushbu hawa ke dosh pe hain jald kar lijiye wasul hamein mukhtasar kijiye kahani ko aap to de rahe hain tul hamein rah teri nahin takenge hum shart ye bhi teri qubul hamein aur kuchh rang sher mein aae zindagi aur kar malul hamein