aaKHiri ashk hai aur pahli aza-dari hai

By muneer-jafriApril 5, 2022
aakhiri ashk hai aur pahli aza-dari hai
majlis-e-hijr bapa karne ki tayyari hai
jis ki jo marzi ho wo rakh ke chala jata hai
meri duniya hai ki ahbab ki almari hai


nur ke hath pe bai'at hai meri aankhon ki
ab andheron ki taraf dekhna ghaddari hai
dhundne nikla hun main us ke pasandida phul
meri is shahr mein ye pahli kharidari hai


rakh se le ke uthunga main khazane ka suragh
mera is aag mein jal bujhna adakari hai
jhuta khane se bhi lag jati ho aadat jaise
ye mohabbat bhi tere dar ki namak-khwari hai


nim ke ped se karna hai jinhen shahd wasul
un zamanon ki taraf mera safar jari hai
jaane kis shakhs ke panw ko chhua hai us ne
tez aandhi mein bhi sahra pe sukun tari hai


narm galon pe sarakte hue suraj ka ghurub
ye nazara hai ki rangon ki dukan-dari hai
bant deta hun mohabbat ko faqiron mein 'munir'
ye bhi purkhon ki wirasat se wafadari hai


72500 viewsghazalEnglish