aaKHiri zarb dil par lagate hue
By ahmar-nadeemMay 26, 2024
aakhiri zarb dil par lagate hue
kaun rukhsat hua muskuraate hue
un ki dahliz tak hum gae to magar
dastaken raston mein lutate hue
kah gai thi saba ye mere kan mein
phir idhar aaungi aate-jate hue
dil lagane ko sara jahan tha magar
sochta kaun hai dil lagate hue
zindagi ki tawalat ka 'uqda khula
ret par ek gharaunda banate hue
kuchh sitare the raushan jabin par meri
tum ne dekha nahin jhilmilate hue
kitne rishton ka main ne bharam rakh liya
ek ta'alluq se daman chhudate hue
kitne hi raaz sab par 'ayan ho gae
ek tera raaz-e-ulfat chhupate hue
yun guzarta raha karwan-e-hayat
khud se apna ta'aruf karaate hue
kaun rukhsat hua muskuraate hue
un ki dahliz tak hum gae to magar
dastaken raston mein lutate hue
kah gai thi saba ye mere kan mein
phir idhar aaungi aate-jate hue
dil lagane ko sara jahan tha magar
sochta kaun hai dil lagate hue
zindagi ki tawalat ka 'uqda khula
ret par ek gharaunda banate hue
kuchh sitare the raushan jabin par meri
tum ne dekha nahin jhilmilate hue
kitne rishton ka main ne bharam rakh liya
ek ta'alluq se daman chhudate hue
kitne hi raaz sab par 'ayan ho gae
ek tera raaz-e-ulfat chhupate hue
yun guzarta raha karwan-e-hayat
khud se apna ta'aruf karaate hue
29165 viewsghazal • English