aalam-e-imkan mein duniya ki hawa thi main na tha jalwa-ara sirf zat-e-kibriya thi main na tha kar diya bedar jis ne sakinan-e-arsh ko wo kisi dard-ashna dil ki sada thi main na tha muntashir jis ne kiya tha un ki zulf-e-naz ko sach agar puchho to wo baad-e-saba thi main na tha khul gaya jo raaz-e-ulfat aaj ahl-e-bazm par ye tumhaari mast nazron ki khata thi main na tha tang aa kar gardish-e-ayyam se bahr-e-sujud wo to meri zindagi waqf-e-dua thi main na tha had se jab 'qaisar' badhi un ki jafa-e-na-rawa jo ba-ru-e-kar aai wo wafa thi main na tha