aalam-e-rang-o-naghma mein kaif bahut sahi magar

By sayyada-akhtarMay 15, 2021
aalam-e-rang-o-naghma mein kaif bahut sahi magar
be-khud-e-sair-e-kaenat apni taraf bhi ek nazar
un ki bhi aankh ho gai josh-e-alam se aaj tar
main ne uthai kyon nigah aalam-e-dard mein udhar


yun na pahunch sakega tu un ki harim-e-naz mein
ishq ki tegh-e-tez se aql se pahle jang kar
shakl-e-hasin dikhae ja parda-e-darmiyan utha
shauq mera hai parsa ishq mera hai mo'atabar


mere tamiz-e-shauq ko ek zamana chahiye
tera lahu abhi hai sard meri nawa hai garm-tar
aah-e-sharab-e-shauq ka kaif bahut ajib hai
wo hain ki mujh se be-niyaz aur main un se be-khabar


teri fughan ne kar diya sina-e-gul ko chaak-chaak
'akhtar'-e-khush-nawa khamosh 'akhtar'-e-khush-nawa thahar
22410 viewsghazalEnglish