aalam-e-rozgar se marub ho gae
By ahmar-nadeemFebruary 5, 2024
aalam-e-rozgar se mar'ub ho gae
sare usul 'ishq ke ma’yub ho gae
shayad main apne aap se ghafil na rah saka
kuchh log meri zat se mansub ho gae
pahle-pahal to hum pe tera kuchh asar hua
phir dekhte hi dekhte maghlub ho gae
pohncha na kuchh hamara kaha un ke zauq tak
samjhe the hum ki sahib-e-uslub ho gae
shohrat ki sadgi ne bhi kya kya na kuchh kiya
kitne hi badtarin the jo khub ho gae
tera firaq ba'is-e-kaif-o-nashat tha
duniya tere visal mein majzub ho gae
'ahmar' ka kya bana koi puchhe to ye kaho
nazr-e-sitam-zarifi-e-mahbub ho gae

17437 viewsghazal • English