aalam-e-wajd se iqrar mein aata hua main qissa-e-dard bana khwab sunata hua main mansab-e-dar pe aaya hun badi shan ke sath hakim-e-shahr tere hosh udata hua main zindagi hijr hai aur hijr bhi aisa hai ki bas sans tak haar chuka wasl kamata hua main chandni raat mein dariya si rawan yaad ke sath kaif o masti mein chala jhumta gata hua main yar dekho to kabhi mausam-e-hijran mein idhar khak hota hun yahan dasht sajata hua main shakh-e-imkan se teri yaad ki mahkar chunun ek bhanwra sa teri or ko jata hua main halqa-e-sher se guzrunga mohabbat mein 'said' dil ke jazbaat ko alfaz mein lata hua main