aalam ka dar hai jinhen aalam se pahle kar dete hain raushan wo diya sham se pahle jo tut gaya rishta-e-ulfat hi to kyon log lete hain tera nam mere nam se pahle madhosh jo ho jaun to hairat mein na padna aankhon se pila dete hain wo jam se pahle hai kohkan-o-'qais' ki rudad mujhe yaad anjam se waqif hun main anjam se pahle sayyaad se hushiyar rahen tair-e-nau-khez dana bhi bichha dete hain ye dam se pahle main kucha-e-jaanan mein qadam rakhta hun jab bhi leta hun ijazat dil-e-nakaam se pahle achchhon se pata chalta hai insan ko buron ka rawan ka pata chal na saka ram se pahle 'rizwan' na tha ehsas musawat-e-bashar ka insan ko paighambar-e-islam se pahle