aana jaana nahin ki kam kar len

By sarul-baglaOctober 26, 2023
aana jaana nahin ki kam kar len
gham bahana nahin ki kam kar len
zist katti hai roz qatron mein
ye fasana nahin ki kam kar len


ye mohabbat hi sab musibat thi
wo bhi mana nahin ki kam kar len
54384 viewsghazalEnglish