aandhi mein bhi charagh magan hai saba ke sath lagta he saz-baz hui hai hawa ke sath lab par khuda ka nam ho dil mein watan ka dard nikle badan se ruh meri is ada ke sath un ko bahut ghurur tha apni jafaon par hum bhi wahin ade rahe apni wafa ke sath nazren jhuka ke samne mere khada hai wo sharmindagi ki apne badan par qaba ke sath har shakhs rashk karta hai phir aisi zat par mar kar bhi jis ke rabt ho qaem khuda ke sath aaghaz bhi usi ki ziyarat ke sath ho ho bhi safar tamam to man ki dua ke sath ehsan tha ya hukm ki tamil thi 'sabin' hum bi qadam qadam chale us ki raza ke sath