aane ko nazar mein meri sau fitna-gar aae

By rasa-rampuriNovember 13, 2020
aane ko nazar mein meri sau fitna-gar aae
tujh sa nazar aaya hai na tujh sa nazar aae
khul jae bharam zabt-e-mohabbat ka na un par
darta hun kahin aankh mein aansu na bhar aae


mai-khane pe kya abr hai chhaya hua ya-rab
jalwe teri rahmat ke yahan bhi nazar aae
karta hun duaen to ye aati hain nidaen
tu ho kisi qabil to dua mein asar aae


karta hai wahi dil mein 'rasa' ke jo thani hai
samjhane ko samjhate hain sab apne parae
54846 viewsghazalEnglish