aangan ke daraKHton ke liye kuchh bhi nahin hai
By aalam-nizamiJanuary 18, 2024
aangan ke darakhton ke liye kuchh bhi nahin hai
duniya mein buzurgon ke liye kuchh bhi nahin hai
haq chhin ke leti hai yahan charb-zabani
khamosh parindon ke liye kuchh bhi nahin hai
chadhte hue suraj ki parastar hai duniya
mitti ke charaghon ke liye kuchh bhi nahin hai
har aatish-e-namrud ko gulzar banana
khaliq ke khalilon ke liye kuchh bhi nahin hai
'ayyar qalam-karon ki khatir hain khitabaat
khuddar adibon ke liye kuchh bhi nahin hai
mujrim ko 'adalat se dila dena rihai
'alam' ye wakilon ke liye kuchh bhi nahin hai

13389 viewsghazal • English