aankh barsi hai tere nam pe sawan ki tarah jism sulga hai teri yaad mein indhan ki tarah loriyan di hain kisi qurb ki khwahish ne mujhe kuchh jawani ke bhi din guzre hain bachpan ki tarah is bulandi se mujhe tu ne nawaza kyun tha gir ke main tut gaya kanch ke bartan ki tarah mujh se milte hue ye baat to sochi hoti main tere dil mein sama jaunga dhadkan ki tarah ab zulekha ko na bad-nam karega koi us ka daman bhi darida mere daman ki tarah muntazir hai kisi makhsus si aahat ke liye zindagi baithi hai dahliz pe birhan ki tarah