aankh imkan se bhari hui thi

aankh imkan se bhari hui thi
aur main khwab mein dari hui thi

zakhm ginti thin ungliyan apne
koshish-e-aina-gari hui thi

hijr kya khub kaifiyat laya
in dinon kitni shaeri hui thi

kya isi mein hi ishq pinhan tha
ek nigah wo bhi sarsari hui thi

kaisa mahsus ho raha tha tumhein
jab madine mein haziri hui thi

us ne aankhon mein baat ki mujh se
khamushi hont par dhari hui thi

sabz titli thi 'rashida' mahin
nargisi phul par mari hui thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close