aankh jab aaine mein padti hai zindagi dekhne mein padti hai roz katti hai fasl khushbu ki aur tere tauliye mein padti hai din kisi marke mein katta hai shab kisi morche mein padti hai chhod duniya ki baat dil ki sun chhod kis waswase mein padti hai tu nahin hai to raat bhar barish jaane kis silsile mein padti hai panw ko lakh khinchta hun magar wo gali raste mein padti hai gardish-e-waqt teri aankh ke is pur-kashish daere mein padti hai ishq ke aur hain makan-o-zaman umr ek saniye mein padti hai zindagi to wahan bhi hai 'ashraf' barf jis mintaqe mein padti hai