aankh kahti hai hamein ab ashk-bari chhoD den

By mannan-qdeer-mannanJanuary 18, 2022
aankh kahti hai hamein ab ashk-bari chhod den
aansuon se dil ki kaise aabyari chhod den
hai muqaddar par yaqin hum ko rahe itna khayal
khak hai qismat to kaise khaksari chhod den


bad-lihazi jis qadar meri tabiat mein hai dost
ye bhi mumkin hai mujhe sab bari bari chhod den
dosto karna padega ab hamein ye faisla
duniya-dari chhod den ya inkisari chhod den


ho rahi hai dosto tum ko ghalat-fahmi koi
kaise mumkin hai parinde ko shikari chhod den
ishq ko matlub hain be-chainiyan jazbaat ki
zindagi kahti hai hum ko be-qarari chhod den


dur rah kar aadmi bechain rahta hai zarur
aap mere hijr ki manzar-nigari chhod den
doston aur dushmanon ka ilm hona chahiye
kis liye 'mannan' hum rae-shumari chhod den


17239 viewsghazalEnglish