aankh KHamosh nazar Khaali hai

By ziyaul-hasanJune 18, 2022
aankh khamosh nazar khali hai
dard ki rah-guzar khali hai
raushni samt badalne ko hai
arsa-e-shams-o-qamar khali hai


han mulaqat ki saat hai yahi
waqt ka pichhla pahar khali hai
aarzu dil mein nahin hai koi
ek muddat se ye ghar khali hai


uthte jate hain kharidar-e-junun
kisa-e-sher o asar khali hai
ab kisi dil mein nahin shauq-e-safar
jada-e-shahr-e-hunar khali hai


din guzarta nazar aata hi nahin
rang-e-imkan se sahar khali hai
sirf dil hi nahin sunsan 'ziya'
rawish-e-jaan bhi idhar khali hai


48218 viewsghazalEnglish