aankh ko dhoka diya aaKHir meri raftar ne

By rashid-ali-markhyaniJuly 7, 2021
aankh ko dhoka diya aakhir meri raftar ne
aur ja kar tod dala surkh signal car ne
chaar pal ke ek padaw ne meri taqsim ki
jism khincha manzilon ne dil sara-e-dar ne


main khada hun to barabar mein khade hain sab mere
gir padun to har koi daudega mujh ko marne
muskura kar khinch lete hain koi taswir hum
is se badh kar kya diya hai ab kisi tehwar ne


waqt ki sidhi pe chadh kar dekhna hai us taraf
kyon meri binai ko roka hai us diwar ne
bin tere sab thik hai lekin mujhe is shahr mein
lag gae hain aise waise log bhi dhutkarne


zindagi dar-asl 'rashid' do ghadi ka khel hai
kab jahan ko chhodna chaha kisi kirdar ne
41188 viewsghazalEnglish