aankh mein aansu nazar mein dard paida kar gaya

By balraj-hairatJanuary 19, 2024
aankh mein aansu nazar mein dard paida kar gaya
mera hansne ka irada kya ghazab dha kar gaya
main ne barsaton mein jalte ghar kabhi dekhe na the
main isi ba'is tere gham ko gawara kar gaya


meri koshish thi muqaddar ko nai jihaten milin
aur isi koshish mein khud ko be-sar-o-pa kar gaya
khush-yaqini bhi khila deti hai kaise kaise gul
ek din wallah main khud par bharosa kar gaya


baat usulon ki nahin hai baat kuchh qadron ki hai
khwab jhute the magar main un ko sachcha kar gaya
bas yahi surat chhupane ki inhen nikli ki main
har kisi ke samne zakhmon ko nanga kar gaya


muddaton meri hayat ummid ka mehwar rahi
phir koi shakhs aa ke 'hairat' sab kuchh ulta kar gaya
28301 viewsghazalEnglish