aankh mein pani rakho honTon pe chingari rakho

By January 1, 2017
aankh mein pani rakho honTon pe chingari rakho
aankh mein pani rakho honton pe chingari rakho
zinda rahna hai to tarkiben bahut sari rakho
rah ke patthar se badh kar kuchh nahin hain manzilen
raste aawaz dete hain safar jari rakho


ek hi naddi ke hain ye do kinare dosto
dostana zindagi se maut se yari rakho
aate jate pal ye kahte hain hamare kan mein
kuch ka ailan hone ko hai tayyari rakho


ye zaruri hai ki aankhon ka bharam qaem rahe
nind rakho ya na rakho khwab meyari rakho
ye hawaen ud na jaen le ke kaghaz ka badan
dosto mujh par koi patthar zara bhaari rakho


le to aae shairi bazar mein 'rahat' miyan
kya zaruri hai ki lahje ko bhi bazari rakho
49581 viewsghazalEnglish