aankh rakkhe hue sitare par kashtiyan ja lagin kinare par waqt padne pe aazma lena jaan de denge ek ishaare par mod par us ne mud ke dekha tha ji rahe hain isi sahaare par jhil aankhon mein surmagin aansu chand be-khud tha is nazare par lab-o-rukhsar aatishin us ke shabnami raqs tha sharare par ot mein phir chhapa liya man ne lash man ki giri dulare par shahr sara chhaton pe tha 'babar' chand utra tha phir chaubare par