aankh se dur na ho dil se utar jaega waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaega itna manus na ho khalwat-e-gham se apni tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jaega dubte dubte kashti ko uchhaala de dun main nahin koi to sahil pe utar jaega zindagi teri ata hai to ye jaane wala teri bakhshish teri dahliz pe dhar jaega zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka 'faraaz' zalim ab ke bhi na roega to mar jaega