aankh se jo nami nahin jati
By shamsa-najmFebruary 29, 2024
aankh se jo nami nahin jati
gham ki shiddat sahi nahin jati
ek na ek baat aisi hoti hai
jo kisi se kahi nahin jati
meri to jaan par bani hui hai
aur teri dil-lagi nahin jati
tu mere ru-ba-ru na ho jab tak
dil ki haalat kahi nahin jati
waqt yun to guzarta jata hai
hijr ki ek ghadi nahin jati
'umr pardes mein guzari par
des ki tishnagi nahin jati
jhut chehre pe darj hai tere
dastan tak ghadi nahin jati
kar chuka pash pash wo dil ko
gham ki shiddat sahi nahin jati
yun mayassar mujhe sabhi kuchh hai
ek teri kami nahin jati
rang khushbu gulab sab kuchh hai
dil ki be-raunaqi nahin jati
qasr-e-muim suqut-e-khalwat hai
dil ki par be-kali nahin jati
ye jo talkhi hai us ke lahje mein
'shamsa' mujh se sahi nahin jati
gham ki shiddat sahi nahin jati
ek na ek baat aisi hoti hai
jo kisi se kahi nahin jati
meri to jaan par bani hui hai
aur teri dil-lagi nahin jati
tu mere ru-ba-ru na ho jab tak
dil ki haalat kahi nahin jati
waqt yun to guzarta jata hai
hijr ki ek ghadi nahin jati
'umr pardes mein guzari par
des ki tishnagi nahin jati
jhut chehre pe darj hai tere
dastan tak ghadi nahin jati
kar chuka pash pash wo dil ko
gham ki shiddat sahi nahin jati
yun mayassar mujhe sabhi kuchh hai
ek teri kami nahin jati
rang khushbu gulab sab kuchh hai
dil ki be-raunaqi nahin jati
qasr-e-muim suqut-e-khalwat hai
dil ki par be-kali nahin jati
ye jo talkhi hai us ke lahje mein
'shamsa' mujh se sahi nahin jati
66700 viewsghazal • English