aankh se shoala nikle khun pasine mein khush ho miyan chingari dagh ke sine mein sadiyon ki mohtat-rawi rah jati hai kha jata hai dil ko rog mahine mein jab bhi guzarta hun main sans ukhadti hai jaane kya hai us bosida zine mein jis zambil mein tum yaaden bhar aae ho sanp bhi ek dhara hai sath khazine mein aankh mein bagh tha sabz-ru pahli kirnon ka dariya aise chand bhi the aaine mein