aankh unki to kuchh aur hi kahti hai zaban aur

By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
aankh un ki to kuchh aur hi kahti hai zaban aur
'ghaalib' ka sa un ka bhi hai andaz-e-bayan aur
diwane hain dekhenge unhen dida-e-dil se
gar khud ko chhupaenge to honge wo 'ayan aur


jazbaat dabaoge to dard aur badhega
gar aag bujhaoge to utthega dhuan aur
ai waqt tere bas mein nahin in ko mitana
qadmon ke nishan aur hain zakhmon ke nishan aur


mahsus ye hota hai ki main tut raha hun
tuta hai meri aankhon mein ek khwab-e-giran aur
ta'mir pe ta'mir main karta hun nasheman
naraaz thi naraaz hui barq-e-tapan aur


ye kahne lage ahl-e-junun ahl-e-khirad se
masjid ki azan aur hai sahra ki azan aur
mahfil mein yahi soch ke baitha hun abhi tak
mahfil se utha teri to jaunga kahan aur


79312 viewsghazalEnglish