aankhon aankhon mein baat hone lagi
By yasmin-husaini-zaidi-nikhatNovember 27, 2020
aankhon aankhon mein baat hone lagi
khali nindon se raat hone lagi
us ki nazron mein nashsha tha aisa
bartaraf kaenat hone lagi
har taraf zehn-o-dil ke goshe mein
han aur na ki bisat hone lagi
jab kabhi mil gae wo qismat se
phir zamane ki baat hone gali
aur bichhde to kuchh talab aisi
reza reza ye zat hone lagi
na kabhi haal-e-dil kaha ab to
zindagani ki raat hone lagi
khali nindon se raat hone lagi
us ki nazron mein nashsha tha aisa
bartaraf kaenat hone lagi
har taraf zehn-o-dil ke goshe mein
han aur na ki bisat hone lagi
jab kabhi mil gae wo qismat se
phir zamane ki baat hone gali
aur bichhde to kuchh talab aisi
reza reza ye zat hone lagi
na kabhi haal-e-dil kaha ab to
zindagani ki raat hone lagi
78282 viewsghazal • English