aankhon ka shor khun ki ganga utar gaya is gham ne kat khaya ki dil be-hunar gaya gul-mohr pe khizan ne lagai hai gham ki muhr titar khandar pe shakh ki siskari bhar gaya chhanw mein chand ke tha mere sath ek nur suraj gira jo sar pe sitara mukar gaya dahka rahi thi lafz ko lahje ki tez barf ye munjamid charagh kya sine ko bhar gaya phulwariyon pe nur ki titli ne ghar kiya jugnu kanwal ki shakh pe mahtab dhar gaya