aankhon ko aansuon ki zarurat hai aaj bhi
By nomaan-shauqueFebruary 27, 2024
aankhon ko aansuon ki zarurat hai aaj bhi
jitni bhi rah gai hai mohabbat hai aaj bhi
sazish ki ek sham bujhae gae the hum
lekin diyon ko taq se nisbat hai aaj bhi
kuchh bhi sanbhaal pae na hum tang-dast log
ye khak-dan-e-jism hi daulat hai aaj bhi
aise namaziyon ka wuzu bhi na kar qubul
ya-rab dilon mein kitni kudurat hai aaj bhi
lekin tumhaare husn ka ne'mul-badal kahan
dil mein to be-hisab mohabbat hai aaj bhi
ta'lim de raha hun mohabbat ki jism ko
mushkil ye hai ki ruh ki sohbat hai aaj bhi
insan ban ke baitha hai har aadmi-numa
duniya pe ek khayal ki dahshat hai aaj bhi

81446 viewsghazal • English