aankhon ko aansuon se mohabbat hai kya karun dil par tumhaare gham ki hukumat hai kya karun shishon ka hai makan ki hairaniyon ka ghar surat har ek teri hi surat hai kya karun ho kar kabhi idhar se guzarti nahin bahaar mere chaman ko teri zarurat hai kya karun ek pal bhi jaise saikdon sadiyan tere baghair har sans jaise ek qayamat hai kya karun jine hi de 'asir' na marne hi de mujhe ek tir-e-nim-kash ki inayat hai kya karun