aankhon ko naqsh-e-pa tera dil ko ghubar kar diya hum ne wida-e-yar ko apna hisar kar diya is ki chhuwan se jal utha mere badan ka rom rom mujh ko to dast-e-yar ne jaise chinar diya kis ke badan ki narmiyan hathon ko gudguda gain dasht-e-firaq-e-yar ko pahlu-e-yar kar diya ab ke to mujh pe is tarah saqi hua hai mehrban sare dukhon ko chum kar mai ka khumar kar diya mana sukhan teri ata phir bhi kamal hai mera main ne tere jamal ko rashk-e-bahaar kar diya mujh se gila baja magar tum bhi kabhi ye sochna mujh ko ana ke rakhsh par kis ne sawar kar diya zulmat-e-hijr mein sada us ne diya hai hausla ab ke magar bujha diya us ne bhi haar kar diya