aankhon ko sujhta hi nahin kuchh siwa-e-dost

By sharaf-mujaddidiNovember 19, 2020
aankhon ko sujhta hi nahin kuchh siwa-e-dost
kanon mein aa rahi hai barabar sada-e-dost
kaisi wafa sitam se bhi us ne uthae hath
rah rah ke yaad ab aati hai tarz-e-jafa-e-dost


sine mein dagh-ha-e-mohabbat ki hai bahaar
phula hai khub ye chaman dil-kusha-e-dost
dil mein mere jigar mein mere aankh mein meri
har ja hai dost aur nahin milti hai ja-e-dost


muddat se panw tode hue baithe the 'sharaf'
aakhir uda ke le hi chali ab hawa-e-dost
13060 viewsghazalEnglish