aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan

By wasi-shahNovember 24, 2020
aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan
kandhon pe gham ki shaal hai aur chand raat hai
dil tod ke khamosh nazaron ka kya mila
shabnam ka ye sawal hai aur chand raat hai


campus ki nahr par hai tera hath hath mein
mausam bhi la-zawal hai aur chand raat hai
har ek kali ne odh liya matami libas
har phul pur-malal hai aur chand raat hai


chhalka sa pad raha hai 'wasi' wahshaton ka rang
har chiz pe zawal hai aur chand raat hai
95433 viewsghazalEnglish