aankhon mein kahin uski bhi tufan to nahin tha

By arsh-siddiquiOctober 27, 2020
aankhon mein kahin us ki bhi tufan to nahin tha
wo mujh se juda ho ke pasheman to nahin tha
kyun us ne na ki mujh se sar-e-bazm koi baat
main sang-e-malamat se gurezan to nahin tha


kyun rasta dekha kiya us ka main sar-e-sham
be-dard ka mujh se koi paiman to nahin tha
thi aag bhi teri hi tarah hosh ki dushman
warna mujhe jal marne ka arman to nahin tha


tha dil bhi kabhi shahr-e-tamanna mein mumasil
ye qarya hamesha se bayaban to nahin tha
kyun us ne mujhe azmat-e-quran ki qasam di
wo rahzan-e-iman musalman to nahin tha


kyun mujh se tawaqqoa thi use jah-o-hasham ki
main banda-e-nadar sulaiman to nahin tha
tufan-e-alam kyun mujhe sahil pe utara
main shor-e-talatum se hirasan to nahin tha


shab-bhar meri palkon mein damakte rahe tare
kal raat yahan jashn-e-charaghan to nahin tha
kahte hain ki hai 'arsh' nigun pa-e-nabi par
aisa wo koi sahab-e-iman to nahin tha


93002 viewsghazalEnglish