aankhon mein na zulfon mein na rukhsar mein dekhen mujh ko meri danish mere afkar mein dekhen malbus badan dekhen hain rangin qaba mein ab pairahan-e-zat ko izhaar mein dekhen sau rang mazamin hain jab likhne pe aaun gul-dasta-e-mani mere ashaar mein dekhen puri na adhuri hun na kam-tar hun na bartar insan hun insan ke mear mein dekhen rakkhe hain qadam main ne bhi taron ki zamin par pichhe hun kahan aap se raftar mein dekhen mansub hain insan se jitne bhi fazael apne hi nahin mere bhi atwar mein dekhen kab chaha ki saman-e-tijarat hamein samjhen lae the hamein aap hi bazar mein dekhen us qadir-e-mutlaq ne banaya hai hamein bhi tamir ki khubi usi meamar mein dekhen