aankhon mein shab utar gai KHwabon ka silsila raha
By moid-rashidiNovember 8, 2020
aankhon mein shab utar gai khwabon ka silsila raha
main khud ko dekhta raha main khud ko sochta raha
khud ko pukarta raha
koi khabar nahin mili
kis ki khabar nahin mili
kis ko pukarta raha
us ki talash hi na thi
apni talash bhi na thi
khone ka khauf kuchh na tha
phir kaisa fasla raha
kuchh masale to ghar gae
kuchh masale bikhar gae
sab masale guzar gae aur ek masala raha
wo bhi bikhar bikhar gaya main bhi idhar udhar gaya
wo bhi dhuan dhuan sa kuchh main bhi ghubar sa raha
lafzon ki shakhen phail kar mere lahu se aa milin
kuchh qahqahe uchhal gae aur koi chikhta raha

82706 viewsghazal • English