aankhon ne haal kah diya hont na phir hila sake dil mein hazar zakhm the jo na unhen dikha sake ghar mein jo ek charagh tha tum ne use bujha diya koi kabhi charagh hum ghar mein na phir jala sake shikwa nahin hai arz hai mumkin agar ho aap se dije mujh ko gham zarur dil jo mera utha sake waqt qarib aa gaya haal ajib ho gaya aise mein tera nam hum phir bhi na lab pe la sake us ne bhula ke aap ko nazron se bhi gira diya 'nasir'-e-khasta-haal phir kyun na use bhula sake