aansu apni chashm-e-tar se niklen to taza-dam ho jaen ghar se niklen to bimaron ko thoda sa aaram mile bahar dast-e-chaara-gar se niklen to sachchai se parda bhi hat sakta hai akhbaron mein chhapi khabar se niklen to na-mumkin hai wapas lauten khali hath chand pakadne lekin ghar se niklen to manzar mein kirdar hamara bhi aa jae shart hai pahle pas-manzar se niklen to