aansu hamara uski hatheli pe aa gaya

By wasim-nadirJanuary 5, 2024
aansu hamara us ki hatheli pe aa gaya
shahzada aaj apni haweli pe aa gaya
kuchh phul khil gae ye khushi to hui magar
ek sanp bhi kahin se chameli pe aa gaya


moti jade the jis mein hamare yaqin ke
wo haar kaise teri saheli pe aa gaya
ab us ka hath chhodna majburi hai meri
ye 'ishq bhi 'ajib paheli pe aa gaya


kal raat us ne chum liya mere hath ko
mahtab aasman se hatheli pe aa gaya
90211 viewsghazalEnglish