aansuon ka ek halqa khinch kar

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
aansuon ka ek halqa khinch kar
but bana baitha hun sadma khinch kar
ek kar dala hai sab mazi-o-haal
waqt ki dori ko thoda khinch kar


pyas ko bahla raha hun der se
ret par taswir-e-dariya khinch kar
multawi karte rahe hum maut ko
ek zara sanson ko ulta khinch kar


jald le ja yar mustaqbil mere
haal se sara guzishta khinch kar
band kar deta hun mitti ke kiwad
ek zara sa aab-e-taza khinch kar


la meri pahchan wapas kar mujhe
warna dunga khali chehra khinch kar
main bhi mitti ki tarah mazbut hun
dekh le sara zamana khinch kar


aakhir-e-kar apni aankhen band kin
ek sard aah-e-tamasha khinch kar
'farhat-ehsas' ek maqnatis hai
le gaya hai jaane kya kya khinch kar


34909 viewsghazalEnglish