aao koi tafrih ka saman kiya jae phir se kisi waiz ko pareshan kiya jae be-laghzish-e-pa mast hun un aankhon se pi kar yun mohtasib-e-shahr ko hairan kiya jae har shai se muqaddas hai khayalat ka rishta kyun maslahaton par use qurban kiya jae muflis ke badan ko bhi hai chadar ki zarurat ab khul ke mazaron pe ye elan kiya jae wo shakhs jo diwanon ki izzat nahin karta us shakhs ka bhi chaak gareban kiya jae pahle bhi 'qatil' aankhon ne khae kai dhoke ab aur na binai ka nuqsan kiya jae