aap apni maut mar jaane diya

By nomaan-shauqueFebruary 27, 2024
aap apni maut mar jaane diya
dil ko nazron se utar jaane diya
rok sakta tha main jate waqt ko
us ki marzi thi guzar jaane diya


tash ke patton se ek duniya rachi
aur phir sab kuchh bikhar jaane diya
sath mera aur ek uljhan ka tha
jis ne apnaya na ghar jaane diya


rasta bhuli hui aawaz ne
chand shamon ko sanwar jaane diya
ek andeshe ki aahat kya suni
apne khwabon ko bikhar jaane diya


15778 viewsghazalEnglish