aap aur hum salam bhi na karen nafraten itni aam bhi na karen kuchh na bolen tere khilaf magar khud se kya ab kalam bhi na karen kar nahin paen gar hifazat aap qatl ka intizam bhi na karen kuchh na kuchh hum se kaam hai warna aap yun to salam bhi na karen log hamdardiyan jatane lagen dard ko itna aam bhi na karen sirf uljhe rahen siyasat mein log kya kaam-wam bhi na karen