aap danista jo katra ke guzar jate hain

aap danista jo katra ke guzar jate hain
mere ehsas mein sau dard utar jate hain

pas aa kar bhi agar pas na aae koi
hum shab-e-wasl ki tanhai mein mar jate hain

kya ajab daur-e-pur-ashob hai jis mein ai dost
log dastar bachate hain to sar jate hain

jab pasine ka kharidar na ho tab mazdur
sham ko nazren jhukae hue ghar jate hain

zakhmi lafzon pe bhi hans hans ke agar dad mile
hum se shair to usi waqt hi mar jate hain

apne mahbub se milne ke liye roz 'sabin'
tum ko malum hai hum chand-nagar jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close