aap hamein kya bhul gae hain

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
aap hamein kya bhul gae hain
hum to jina bhul gae hain
karta hai kamre ki sadarat
wo jo dupatta bhul gae hain


gham ka mustaqbil raushan hai
bachche hansna bhul gae hain
kal ki tarah phir yaad dilao
hum kuchh kahna bhul gae hain


aaj usi ki sair karenge
wo jo duniya bhul gae hain
un ko manzil dhund hi legi
ghar ka rasta bhul gae hain


un sazon ko tod hi denge
hum jo bajaana bhul gae hain
un ko bhulne ki koshish mein
jaane kya kya bhul gae hain


tum se baaten karne wale
baaten karna bhul gae hain
40342 viewsghazalEnglish